lambi ho bhale hi per chhoti naa ho!!!!
ajeeb lagta hai na aajkal ke logon ko yeh suanana ki kya karega ya kya karegi apni zindagi mein
itna kuch ho gaya 12th mein itne kam marks aaye ya fail ho gai infact ajeeb hi nahi bahaut bura bhi lagta hai ki aise kaise koi keh sakta hai lekin ye sach bhi toh hota hai kya karega insaan jab vo fail ho jaye ???questions hi questions hoti hai mind mein ki ab to life mein kuch nahi kar sakte ab to hamara jina thik nahi ab hum kuch bhi nahi hain.
pata nahi kyun aisa log samajhte hain ki zindagi agar lambi ho to zyada jina padta hai or bahaut badi jeet ek hi saath mein haasil karni padegi.
aisa kaun se kitab mein likha hai ki agar zindagi lambi hai to badi bhi honi chahiye!!
hamari zindagi mein chahe jo kuch bhi ho failure aaye success aaye chahe jo bhi ho hamein sirf ek purpose dhundhna chahiye ki aakhir hamein apni zindagi kaisi banani hai??
lambi hai to use aur lambi banani hai yaa lambi bhale hi ho use chhoti kabhi naa banayein.
life ek baar milti hai yahi jina hai aur yahi marna hai jo karna hai yahi karna hai aur haa apni life mein ek purpose ka hona bahaut zaruri hai.
life mein log goal toh set kar lete hain per goal ka kya hai voh to kabhi achieve hoga aur kabhi nahi
aur jiski vajah se hamein dukh bhi utna hi hoga jitni ki hamnein mehnat ki hoti hai uss goal ko achieve karne ke liye .
but,but here comes the truth of the life that lives goal may be achieved or may not be achieved but the PURPOSE remains as it is it never changes nor it gets destroy or get winning or losing award.
it only goes with the flow with determination and dedication it only gets its own reward its own achievement and that is its own SELF FULFILLMENT.
No comments:
Post a Comment