zindagi ek tanhai ka daur
zindagi mein ek tanhai ka alam tha
jo hona tha hua vahi
main bekhabar chalti gayi uss berusvai ke raah per
dhundha bahaut apne aks ko
mila nahi koi iss tanhai ke raah per
jo mila vo bhi chala gaya
ye zindagi bhi kya zindagi hai
ye hai ek tanhai ka daur
apne sune sapne ko sanjo ke rakhna sikha tha maine
adhure rahne ki koi vajah na thi
apne khoye khwab ko paane ki chaah mein humne gavayein
kai pal
pal pal bit raha hai ye pal
kaun jaane kab jayega iss tanhai ka akelapann
bin kahe jo keh gaya vo bhi tha ek pal tanhai ka
kehene ko jo na keh saka vo bhi tha ek pal tanhai ka
ruhani ho gayi hai madhosh nazrein
beparavah ho gayi hai dhadkanein
tanhai ne zindagi ko aise jakda
phir chudaya haath usse
to chudaye bhi na chhut paye
bas zindagi ki tanhai yuhi chali jaye
zindagi ki ruhaniyat fir laut aaye.
No comments:
Post a Comment